Shaktishaali manushya wohi hota hai jo shakti ka sahi chunaav kar sake. - Guru Vishwamitra
Kathinaiyon ko hum sada samasyaon ki tarah hi kyun lete hain. Kathinayian naya dwaar kholti hain. - Ram
Khoj. Manushya ki ek aisi yatra hai jiski na shuruwaat hai aur na ant. Kisi na kisi prakaar ki khoj mein manushya sada hi hai aur sada hi rahega. - Guru Vishwamitra
Dusre ki shakti se nahi, adhiktar humara swayam ka bhay hume parajit kardeta hai. - Ram
Main kisi ki jaati nahi dekhta. Janam toh keval sanyog matra hai, humare gunn hi humari vaastvik pehchan hain. - Ram
Jo swarn ke peeche bhaagta hai woh apni aatma kho deta hai. - Guru Vishwamitra
Ram toh kisi dusri stree ke baare mein soch bhi nahi sakte. Aur na main Ram ka koi vikalp soch sakti hun. Isiliye ek Bharatiya stree ko devi kaha jaata hai. - Sita